गुरुवार, 24 जनवरी 2008

मेरी वफ़ा

तुम जा तो रही हो
मगर सुनो
जज़्बात को मेरे तुमने
ठुकरा तो दिया है
तुम खुश रहो फिर भी
यही  मेरी दुआ है
गर कभी हिज्र के साए
तुम पर जो मंडराए
न हो कोई हमसफ़र
न हो कोई रहबर
उस वक़्त
मेरी वफ़ा का बदला चुका देना
तुम खुशामद थी
खुशामद हो
खुशामद रहोगी
मेरे पास चली आना
मेरे पास चली आना
ये दिल तुम्हारा है
या दर तुम्हारा है
खुला ही रहेगा
खुला ही मिलेगा
 मगर
ऐ मेरे खुदा
तुम पर ना वो वक़्त कभी आये
ये दुआ है मेरी
यही वफ़ा है मेरी 

मेरा ताजमहल

अपनी मोहब्बत का यकीन दिलाना है
हमें भी एक ताजमहल बनाना है

जमुना की पाकीजगी का क्या भरोसा
तामीर-ए-वफ़ा में सिर्फ अपना लहु मिलाना है 

ज़लज़ला-ए-इश्क सह न सकेगा संग-ए-मरमर 
इमारत में जज्बातों का हमें पत्थर लगाना है

शहंशाह हम नहीं खजीने हमारे खाली हैं
दौलत के लिए खुद को दिल-ओ-जान से लुटाना है
लाख मजदूरों की औकात नहीं हमारी 
ये मेरा महल है बस चार को ही बुलाना है

फिर आकर कब्र पर मेरी लिख देना तुम ऐ 'अमीक'
ये गरीबो का ताजमहल है ये वफ़ा का आस्ताना है 

शनिवार, 19 जनवरी 2008

TERI TASVEER

udaas labo ko muskaye teri tasveer
jeene ki umang jagaye teri tasweer

teri muskaan me hai monalisa ka sa saraab
marhoom vinci ka dil jalaye teri tasveer

teri aqliyat ke kyon kar na ho'n qaayal
hame zahanat ka sabaq sikhaye teri tasveer

lillah teri saadgi wallah teri masoomiyat
subhanaalah nek raah dikhaye teri tasveer

sehra ka mausam bhi ho jaye khushgawaar
gar saher me jo jhalak dikhaye teri tasveer

kya khabar tu kab chal de hame chhor kar
ta-umar dosti ki qasam khaye teri tasveer

aakhir 'amiqu' ko jeene ki aarzoo mil gayi
intezar hai ki kab lab hilaye teri tasveer

DOG'S PRAYER TO GOD

dis one is really nice one....... really with a pinch of fun......
ye ek DUA hai jo kutta khuda se maang raha hai
really touching........ read it carefully!!!
each and every sentence is describing the life of DOG
so here it goes...........

mujh se koi ab darta nahin
mai katuu'n to koi marta nahin
aisi zindagi par laanat hai
ki izzat meri koi karta nahin

mera promotion kara de
mujhe insaan bana de

ghulami ab mujhe manzoor nahin
muft ka me koi mazdoor nahin
me sirf tera majboor hoo'n
kisi qaum ka me majboor nahin

mujhe aazad kara de
mujhe insaan bana de

me sochta huu'n mere haath kahan hain
wo ada se chalne ka andaaz kahan hain
muhabbat karna mere naseeb me nahin
koi haseen humsafar mere saath kahan hain

do paon se mujhko bhi chalna sikha de
mujhe insaan bana de

na mera ghar hai na koi thikana
hai mera muqaddar dar-dar ki thokar khana
me ta-umr barahna hi rehta huu'n
aur suit-boot pehne hai saara zamana

meri bhi lottery laga de
mujhe insaan bana de

kyon mere har andaaz niraale
har koi mujh me khami nikale
meri terhi dum to zamane me misaal hai
in misaalo se mujhe ab to bacha le

mujhe jeene ka andaaz sikha de
mujhe insaan bana de

na qile dikhaye na taj dikhaye
jeene ki na mujh me koi umang jagaye
me marta bhi huu'n to parindo ke bharose
na mujhe koi jalaye na koi dafnaye

muje qaumo ka sartaaj bana de
mujhe insaan bana de

REALITY OF LIFE

iss bazm par phir se adaa ho gaye
ayaan ho gaye hum..zyaa ho gaye

eeman se jo huye hum gafil
har gali me phir to khuda ho gaye

ghamgeeno ko dekhkar humne uraaya tha mazaak
gham jo khud ko mile to sanjeeda ho gaye

kya mohabbat mere muqadar me nahin
wo wafa ki moorat hum se bewafaa ho gaye

waaiz jo hum bane insaniyat ke waaste
mere ahbaab hi mujhse khafa ho gaye

saahil se dekha jo samandar ka nazaara
khuda ki tawaanayi pe hum sajda ho gaye

muflisi ki had to dekhiye ae 'amiqu'
mere jazabaat hi mujhse juda ho gaye

YAAR TUJHE SALAAM

dis ghazal is a tribute to my dear n near frends.........

rab teri dayanatdaari tujhe salaam
yaara tujhe salaam, yaari tujhe salaam

mujhe nek raah pe chalna sikha diya
rehbar tujhe salaam, rehbari tujhe salaam

mere yaar ne jeene ka maqsad bata diya
khuda tujhe salaam, khudai tujhe salaam

tere ahsaano ke ahsaanmand hain hum
madad tujhe salaam, madadgaar tujhe salaam

tujhe na bhula sakenge hum ta-umr
teri yaad tujhe salaam, jazbaat tujhe salaam

meri shayri ko himmat tu ne hi dee
shayar kare salaam, shayari kare salaam

tujh se milne ko betaab hai 'amiqu'
intezaar tujhe salaam, har baar tujhe salaam