शुक्रवार, 1 फ़रवरी 2008

AMIQU

dis is one of my earliest ghazal.....(in hindi) and interstingly the subject is me......

amiqu kya hai? kaun hai? koi nahi jaanta

ye na kissi sanstha ka naam hai
ye na choro ka kaam hai
amiqu na koi shahr hai, na desh hai
na ye logo ka koi vesh hai

mat hai logo ke bahut se
koi rakshaso se, koi sut se

koi kehta hai amiqu ek amrit vishesh hai
amiy ‘k’ naam isska, yehi avshesh hai
aur yehi bigar kar ‘amiqu’ ban gaya hai

aur bhi logo ke bahut se iraade
jab kami khalti hai logo ko zyada
aur wo jaldi jaldi karta hai kami ki pukaar
tab wo ban kar nikalti hai kami ka haar
isliye amiqu ek kami ki beemari hai

kuchh log isse aam aur eekh ka sambandh batate hain
amiqu ko aameekh (aam+eekh) ka bigra batlate hain
isliye amiqu do shabdo ka mail bhi hai

kissi ka andaaz batata hai
jo meet na ho kissi ka, ameet kehlata hai
aur yehi ameet ‘amiqu’ ban jata hai

asliyat kya hai? koi nahi janta
amiqu kaun hai? koi nahi pehchanta

magar,
‘amiqu’ bhi ek insaa hai
dil se magar wo naada hai
likh betha hai ghazal khud par
shayad shayri ki ye inteha hai